Monday, April 6, 2009
Kya wo mai hi tha...
Garam garam chai ke sath thandi barish ka maja !
Ek ek boond ke sath chadhta wo nasha!
Kya wo main hi tha....
Kati patang ke piche bhagta wo ladka
Fati patang bhi mil jaye to nachta wo ladka
Kya wo main hi tha.....
Thande kuyein ke pani me jab khada rahta tha
Chanchal machhaliyon ke shprsh se thartharata
Kya wo mai hi tha.......
Pal pal bhagate huye suraj ko canvas pe utarata
Bas rangon ke siway kuch bhi na dikhta tha
Kya wo mai hi tha... aur ab
Shahar ki bhid ke sath bhagta huaa...
Roj apne andar kuchh badalte huye chup chap sa dekhta
Kya ye main hi hoon!
Kya ye main hi hoon!!
(This is my 1st attempt to write poem in Hindi and before this i think i have written 2,3 poems in Marathi. I am new to this poem thing so pardon me if i am missing out on something :) )
Subscribe to:
Posts (Atom)